Table of Contents
Printing and saving web pages in Hindi
In this post we will learn about how to printing and saving web pages in Hindi.
Kai baar time kam hone ke karn hum important page ya website ko miss kr dete hai.
But agar aap oos page ko print ya save krlo to aap baad me bhi ose padh sakte ho.
Is post Mein ham janenge ki Kaise aap Kisi bhi web page ko print ya save kar sakte ho Apne Android phone mein yah Apne laptop ya PC mein.
Printing and saving Web Pages in Mobile Phone.
Web pages ko aap kisi mobile phone me bahot hi easy way me print ya save kar sakte ho.
Saving Web Pages in Mobile Phone

jaisa maine aap ko bataya aap bahot hi easy tariko se web pages ko offline save kar sakte ho.
Web Pages ko save karne ke liye aapko simple step follow karna hoga.
Simply 3-dot button ko click kijye.click karne par aapko ek menu dikhega.
Menu open hone par aapko bahot sara option dikhega jaisa ki ooper ke image aap dekh sakte ho.
Ab aapko Download icon par click karna hoga.
Jaise hi aap download icon par click kroge aapka wo web page offline save hona shuru ho jayega.



Jaisa ki aap ooper ke image ko dekh sakte ho.
Downloding start hone par , notification panel aapko aisa dekhne ko milega.
Alternate Method of Saving Web pages
Agar aap chahe to image ko bina download kiye bhi baad me dekh sakte ho
Simply aap Web page ko Bookmark kar lijye.
Bookmark karne par aap bina download kiye web page ko phone me rakh sakte ho.
Bookmark of Web Pages in Mobile
Web Pages ko Bookmark karne ke liye simply 3-dot button oar click kar ke menu open kar lijye.
Menu open karne ke baad aap ko bahot sara option milega, aap screenshot dekh sakte ho.



Ab aapko simply ЁЯМЯ star icon par click karna hoga.
Jaise hi aap star icon par click kroge Web Pages Bookmark ho jayega.
Printing and Saving Web Pages in Laptop/pc
Kisi bhi web pages ko Laptop me Print ya Save krne k liye aap ko kuchh steps follow krna hoga.
Print Web Pages in Laptop/pc
Web Pages ko laptop ya pc me aap 2 tariko se print kr sakte ho.
- Simply ctrl+p button press kr ke aap Web pages ko directly print kr sakte ho.
- Mouse-right click krne ke baad Print per click kar ke aap Web pages ko print ker sakte ho.
Save Web Pages in Laptop/pc
Web pages ko aap system me Download bhi kar sakte ho aur Browser per offline save bhi kar sakte ho
Laptop ya pc me Web Pages ko aap 2 tarah se download ya Save kr sakte ho.
- Laptop me Web pages ko save ya download karne ke liye Simply CTRL+S press kijye aur download kar lijye.
- Browser par Web Pages ko save karne ke liye Simply 3-dot par click kr ke Download icon per click kijye.
In dono method se aap kisi bhi Web Pages ko Apne system me Download ya Browser per offline save kar sakte ho.
Ummeed karte hai ki aapko ye post samjh me aa gya hoga.
Agar apko koi confusion hai ya koi dikkat hai to aap comment kar sakte hai.
Post you must read
Learn What is Phishing
Learn what is VPN?